😦 😯 😮 😠😶 😴 😫 😪 😩 😨 😧
Lout aata hu ghar ki taraf, Har roz thaka-haara,
Aaj tak samajh nahi aaya ki,
Jeene ke liye kaam karta hu ya Kaam karne ke liye jeeta hu!
Bachpan mein sabse adhik baar pucha gaya sawaal -
"Bade ho kar kya banna hai?"
Jawab ab mila hai, - "fir se baccha banna hai."
"Thak gaya hu teri noukari se ae zindagi
Munasif hoga mera hisaab karde...!!"
Jab lage paisa kamane, to samajh aaya,
Shonk to maa-baap ke paiso se poore hote the,
Apne paiso se to sirf zarurte poori hoti hai!
"Maachis ki zarurat yaha nahi padti...
Yaha aadmi aadmi se jalta hai...!!!
Neend aur maut me kya fark h... kisi ne kya khubsoorat jawab diya hai...
Neend aadhi maut hai aur maut ek mukkamal neend hai !!!
Zindagi to apne hi tareeke se chalti hai,
Auro ke sahare to janaze utha karte hai.
Kya karamaat hai kismat ki,
Zinda insaan pani me doobta hai,
aur murda pani me tair ke dikhta hai !!
Lakeerein bhi badi ajeeb hoti hai,
mathey par kheech jaye to qismat bna deti hai,
zameen par kheech jaye to sarhade bna deti hai,
khaal pe kheech jaye to khoon nikal deti hai,
Aur rishtey pe kheech jaye to deewar bna deti hai !!!
Har sawaal ka jawab kab se dhoondh rahe hai,
Par ek din kamre par jaate hi sab sawal ke jawaab mil gaye
Lout aata hu ghar ki taraf, Har roz thaka-haara,
Aaj tak samajh nahi aaya ki,
Jeene ke liye kaam karta hu ya Kaam karne ke liye jeeta hu!
Bachpan mein sabse adhik baar pucha gaya sawaal -
"Bade ho kar kya banna hai?"
Jawab ab mila hai, - "fir se baccha banna hai."
"Thak gaya hu teri noukari se ae zindagi
Munasif hoga mera hisaab karde...!!"
Dosto se bichad kar ye haqeeqat khuli...
Beshak, kaminey the par ronak unhi se thi!!
Bhari jeb (pocket) ne 'duniya' ki pehchaan Karwai
aur
khaali jeb (pocket) ne 'apno' ki.
Shonk to maa-baap ke paiso se poore hote the,
Apne paiso se to sirf zarurte poori hoti hai!
Hasne ki iccha na ho,
To bhi hasna padta hai...
Koi jab puche kaise ho..??
To maze mein hu kehna padta hai...
Ye zindagi ka rangmunch hai dosto...
Yaha har ek ko natak karna padta hai...
"Maachis ki zarurat yaha nahi padti...
Yaha aadmi aadmi se jalta hai...!!!
Duniya ke bade se bade scientist,
Ye dhundh rahe hai ki mangal grah par jivan hai ya nahi,
Par aadmi ye nahi dhundh raha,
Ki jivan mein mangal hai ya nahi...!!
Neend aadhi maut hai aur maut ek mukkamal neend hai !!!
Zindagi to apne hi tareeke se chalti hai,
Auro ke sahare to janaze utha karte hai.
Subh hoti hai, Shaam hoti hai,
Umar yuhi tamaam hoti hai.
Koi ro kar dil behlaata hai
aur
Koi hass kar chup chaap dard chuppata hai !!!
Kya karamaat hai kismat ki,
Zinda insaan pani me doobta hai,
aur murda pani me tair ke dikhta hai !!
Conductor se ho gayi hai zindagi
Safar bhi roz ka hai,
aur jana bhi kahin nai hai !!
Lakeerein bhi badi ajeeb hoti hai,
mathey par kheech jaye to qismat bna deti hai,
zameen par kheech jaye to sarhade bna deti hai,
khaal pe kheech jaye to khoon nikal deti hai,
Aur rishtey pe kheech jaye to deewar bna deti hai !!!
Har sawaal ka jawab kab se dhoondh rahe hai,
Par ek din kamre par jaate hi sab sawal ke jawaab mil gaye
Chatt ne khaa, unchi soch rakho
Pankhey ne khaa, thande se raho
ghari ne khaa, har minute kimti hai,
sheeshey ne khaa, kuch karne se pehle apne andar jhaank lo,
khidki ne khaa, duniyaa ko dekh lo,
calendar ne khaa, up-to-date raho,
aur
darwaaze ne khaa, apni manzil ko paane ke liye pura zor lgaao.